us ne jo zarb lagai mujhe bharpur lagi
main ne jab war kya us ki jagah KHali thi
thak gaya chur hua haar gaya
wo mera dushman-e-ayyar mujhe mar gaya
aaKHiri waqt mein dekha to wo dushman mera
aur to kuchh bhi na tha meri hi parchhain tha
Nazm
Mera dushman
Saleem Ahmed

