qatl-gah ki raunaq
hasb-e-haal rakhni hai
gham bahaal rakhna hai
jaan sambhaal rakhni hai
zor-e-bazu-e-qatil
intiha ka rakhna hai
dashna tez rakhna hai
aur bala ka rakhna hai
aur kya mere qatil
intizam baqi hai
koi baat honi hai
koi kaam baqi hai
waqt par nazar rakhna
waqt ek jada hai
han bata mere qatil
tera kya irada hai
waqt kam raha baqi
ya abhi ziyaada hai
main to qatl hone tak
muskurae jaunga
Nazm
Maqtal mein mukalima
Pirzada Qasim