aaKHiri raat thi wo
main ne dil se ye kaha
harf jo likkhe gae
aur jo zaban boli gai
sabhi be-kar gae
main bhi ab haar gaya yar bhi sab haar gae
koi chaara nahin juz-tark-e-talluq ai dil
ek sada aur sahi aaKHiri bar
jism se chheDa use ruh se chhu le use
aaKHiri bar bahe saz-e-badan se koi naghma koi lai
aaKHiri raat hai ye
aaKHiri bar hai ye zaiqa-e-bosa-o-lams
aaKHiri bar chhalak jae lahu
garmi-e-jaan se mahak jae nafas ki KHushbu
KHwab mein KHwab ke manind utar ja ai dil
aaKHiri raat thi wo
phir guzar ku-e-nadamat se hua to dekha
baam raushan hai jo tha
aur darwaze pe dastak hai wahi
mera qatil dar-o-diwar pe kuchh naqsh banata hai abhi
ungliyan KHun se tar dil-e-kam-zarf ko hai wahama-e-arz-e-hunar
din ki har baat hui be-tauqir
raat hai aur zamir
chashm hai muntazir-e-KHwab-e-digar
KHwab aate hain Thaharte hain chale jate hain
aur qatil ki saza ye bhi ki main zinda hun
Nazm
Main zinda hun
Obaidullah Aleem