اردو हिंदी
Mahsur tha | Shaahi Shayari
mahsur tha

Nazm

Mahsur tha

Shahram Sarmadi

;

bahut gaD-maD the
roz-o-shab ke wo sab tane-bane aur

na main mashshaq tha aisa
ki chadar koi bun leta

magar mahsur tha
aur jaanta tha ye mashaqqat

kaTna qismat mein aaya hai
so jaise ban paDa ye kaam bhi pura kiya main ne

pa ab jab dekhta hun
apne roz-o-shab ka hasil

yani wo chadar
to kahta hun

ki ai logo!
use ham-rah mere dafn kar dena

koi puchhe to kah dena
are chhoDo chalo ek chae pite hain