اردو हिंदी
Krishn | Shaahi Shayari
krishn

Nazm

Krishn

Hasrat Mohani

;

mathura ki nagar hai aashiqi ka
dam bharti hai aarzu isi ka

har zarra-e-sar-zamin-e-gokul
dara hai jamal-e-dilbari ka

barsana-o-nand-ganw mein bhi
dekh aae hain jalwa hum kisi ka

paigham-e-hayat-e-jawedan tha
har naghma-e-krishn bansuri ka

wo nur siyah ya ki hasrat
sar-chashma farogh-e-agahi ka