اردو हिंदी
KHwab ka dar band hai | Shaahi Shayari
KHwab ka dar band hai

Nazm

KHwab ka dar band hai

Shahryar

;

mere liye raat ne
aaj faraham kiya

ek naya marhala
nindon se KHali kiya

ashkon se phir bhar diya
kasa meri aankh ka

aur kaha kan mein
main ne har ek jurm se

tum ko bari kar diya
main ne sada ke liye

tum ko riha kar diya
jao jidhar chaho tum

jago ki so jao tum
KHwab ka dar band hai