bahut se kaam hain
lipTi hui dharti ko phaila den
daraKHton ko ugaen
Daliyon pe phul mahka den
pahaDon ko qarine se lagaen
chand laTkaen
KHalaon ke saron pe nil-gun aakash
phailaen
sitaron ko karen raushan
hawaon ko gati de den
phudakte pattharon ko pankh de kar naghmagi de den
labon ko muskurahaT
ankhDiyon ko raushni de den
saDak par Dolti parchhaiyon ko
zindagi de den
KHuda KHamosh hai!
tum aao to taKHliq ho duniya
main itne sare kaamon ko akela kar nahin sakta
Nazm
KHuda KHamosh hai
Nida Fazli