اردو हिंदी
Himala | Shaahi Shayari
himala

Nazm

Himala

Allama Iqbal

;

ai himala ai fasil-e-kishwar-e-hindustan
chumta hai teri peshani ko jhuk kar aasman

tujh mein kuchh paida nahin derina rozi ke nishan
tu jawan hai gardish-e-sham-o-sahar ke darmiyan

ek jalwa tha kalim-e-tur-e-sina ke liye
tu tajalli hai sarapa chashm-e-bina ke liye

imtihan-e-dida-e-zahir mein kohistan hai tu
pasban apna hai tu diwar-e-hindustan hai tu

matla-e-awwal falak jis ka ho wo diwan hai tu
su-e-KHalwat-gah-e-dil daman-kash-e-insan hai tu

barf ne bandhi hai dastar-e-fazilat tere sar
KHanda-zan hai jo kulah-e-mehr-e-alam-tab par

teri umr-e-rafta ki ek aan hai ahd-e-kuhan
wadiyon mein hain teri kali ghaTaen KHema-zan

choTiyan teri surayya se hain sargarm-e-suKHan
tu zamin par aur pahna-e-falak tera watan

chashma-e-daman tera aaina-e-sayyal hai
daman-e-mauj-e-hawa jis ke liye rumal hai

abr ke hathon mein rahwar-e-hawa ke waste
taziyana de diya barq-e-sar-e-kohsar ne

ai himala koi bazi-gah hai tu bhi jise
dast-e-qudrat ne banaya hai anasir ke liye

hae kya fart-e-tarab mein jhumta jata hai abr
fil-e-be-zanjir ki surat uDa jata hai abr

jumbish-e-mauj-e-nasim-e-subh gahwara bani
jhumti hai nashsha-e-hasti mein har gul ki kali

yun zaban-e-barg se goya hai us ki KHamushi
dast-e-gul-chin ki jhaTak main ne nahin dekhi kabhi

kah rahi hai meri KHamoshi hi afsana mera
kunj-e-KHalwat KHana-e-qudrat hai kashana mera

aati hai naddi faraaz-e-koh se gati hui
kausar o tasnim ki maujon ko sharmati hui

aaina sa shahid-e-qudrat ko dikhlati hui
sang-e-rah se gah bachti gah Takraati hui

chheDti ja is iraq-e-dil-nashin ke saz ko
ai musafir dil samajhta hai teri aawaz ko

laila-e-shab kholti hai aa ke jab zulf-e-rasa
daman-e-dil khinchti hai aabshaaron ki sada

wo KHamoshi sham ki jis par takallum ho fida
wo daraKHton par tafakkur ka saman chhaya hua

kanpta phirta hai kya rang-e-shafaq kohsar par
KHush-numa lagta hai ye ghaza tere ruKHsar par

ai himala dastan us waqt ki koi suna
maskan-e-aba-e-insan jab bana daman tera

kuchh bata us sidhi-sadhi zindagi ka majra
dagh jis par ghaza-e-rang-e-taklluf ka na tha

han dikha de ai tasawwur phir wo subh o sham tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu