zaruri kaghazon ki filon se
be-zaruri
kaghazon ko
chhanTa jata hai
kabhi kuchh phenka jata hai
kabhi kuchh banTa jata hai
kai barson ke rishton ko
palon mein
kaTa jata hai
wo shisha ho
ki patthar ho
bina dum ka wo bandar ho
nishanon se bhara
ya koi bosida calendar ho
purane ghar ke taqon mein
machanon mein
wo sab!!
chhoTa hua apna
kabhi ban kar koi aansu
kabhi ban kar koi sapna
achanak
jagmagata hai
wo sab khoya hua
apne na hone se satata hai
makanon ke badalne se
nae KHanon mein Dhalne se
bahut kuchh TuT jata hai
bahut kuchh chhuT jata hai
Nazm
Hijrat
Nida Fazli