اردو हिंदी
Hamesha qatl ho jata hun main | Shaahi Shayari
hamesha qatl ho jata hun main

Nazm

Hamesha qatl ho jata hun main

Jaun Eliya

;

bisat-e-zindagi to har ghaDi bichhti hai uThti hai
yahan par jitne KHane jitne ghar hain

sare
KHushiyan aur gham inam karte hain

yahan par sare mohre
apni apni chaal chalte hain

kabhi mahsur hote hain kabhi aage nikalte hain
yahan par shah bhi paDti hai

yahan par mat hoti hai
kabhi ek chaal Talti hai

kabhi bazi palaTti hai
yahan par sare mohre apni apni chaal chalte hain

magar main wo piyaada hun
jo har ghar mein

kabhi is shah se pahle aur kabhi us mat se pahle
kabhi ek burd se pahle kabhi aafat se pahle

hamesha qatl ho jata hai