ye des muflis-o-nadar kaj-kulahon ka
ye des be-zar-o-dinar baadshahon ka
ki jis ki KHak mein qudrat hai kimiyai ki
ye naiban-e-KHudawand-e-arz ka maskan
ye nek pak buzurgon ki ruh ka madfan
jahan pe chand sitaron ne jubba-sai ki
na jaane kitne zamanon se is ka har rasta
misal-e-KHana-e-be-KHanuman tha darbasta
KHusha ki aaj ba-fazl-e-KHuda wo din aaya
ki dast-e-ghaib ne is ghar ki dar-kushai ki
chune gae hain sabhi KHar is ki rahon se
suni gai hai bil-aKHir barahna-pai ki
Nazm
Ganw ki saDak
Faiz Ahmad Faiz