اردو हिंदी
Faqat chand lamhe | Shaahi Shayari
faqat chand lamhe

Nazm

Faqat chand lamhe

Nida Fazli

;

bahut der hai
bas ke aane mein

aao
kahin pas ki lawn par baiTh jaen

chaTaKHta hai meri bhi rag rag mein suraj
bahut der se tum bhi chup chup khaDi ho

na main tum se waqif
na tum mujh se waqif

nai sari baaten nae sare qisse
chamakte hue lafz chamakte lahje

faqat chand ghaDiyan
faqat chand lamhe

na main apne dukh-dard ki baat chheDun
na tum apne ghar ki kahani sunao

main mausam banun
tum fazaen jagao