اردو हिंदी
Fasla | Shaahi Shayari
fasla

Nazm

Fasla

Nida Fazli

;

ye fasla
jo tumhaare aur mere darmiyan hai

har ek zamane ki dastan hai
na ibtida hai

na intiha hai
masafaton ka azab sanson ka daera hai

na tum kahin ho
na main kahin hun

talash rangin wahima hai
safar mein lamhon ka karwan hai

ye fasla!
jo tumhaare aur mere darmiyan hai

yahi talab hai yahi jaza hai
yahi KHuda hai