subh ki dhup
dhuli sham ka rup
faKHtaon ki tarah soch mein Dube talab
ajnabi shahr ke aakash
andheron ki kitab
paThshaala mein chahakte hue masum gulab
ghar ke aangan ki mahak
bahte pani ki khanak
sat rangon ki dhanak
tum ko dekha to nahin hai
lekin
meri tanhai mein
ye rang-birange manzar
jo bhi taswir banate hain
wo!
tum jaisi hai
Nazm
Ek taswir
Nida Fazli