اردو हिंदी
Ek naghma karbala-e-beirut ke liye | Shaahi Shayari
ek naghma karbala-e-beirut ke liye

Nazm

Ek naghma karbala-e-beirut ke liye

Faiz Ahmad Faiz

;

beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan

bachchon ki hansti aankhon ke
jo aaine chakna-chur hue

ab un ke sitaron ki lau se
is shahr ki raaten raushan hain

aur raKHshan hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan

jo chehre lahu ke ghaze ki
zinat se siwa pur-nur hue

ab un ke rangin partaw se
is shahr ki galiyan raushan hain

aur taban hai arz-e-labnan
beirut nigar-e-bazm-e-jahan

har viran ghar, har ek khanDar
hum pa-e-qasr-e-dara hai

har ghazi rashk-e-askandar
har duKHtar ham-sar-e-laila hai

ye shahr azal se qaem hai
ye shahr abad tak daim hai

beirut nigar-e-bazm-e-jahan
beirut badil-e-bagh-e-jinan