اردو हिंदी
Ek manzar | Shaahi Shayari
ek manzar

Nazm

Ek manzar

Parveen Shakir

;

kachcha sa ek makan kahin aabaadiyon se dur
chhoTa sa ek hujra faraaz-e-makan par

sabze se jhankti hui khaprel wali chhat
diwar-e-chob par koi mausam ki sabz bel

utri hui pahaD pe barsat ki wo raat
kamre mein lalTain ki halki si raushni

wadi mein ghumta hua barish ka jal-tarang
sanson mein gunjta hua ek an-kahi ka bhed!