zara aahista bol
aahista
dharti sahm jaegi
ye dharti phul aur kaliyon ki sundar saj hai nadan
garaj kar bolne walon se kaliyan ruTh jati hain
zara aahista chal
aahista
dharti man ka hirdai hai
isi hirdai mein tere waste bhi pyar hai nadan
bura hota hai jab dharti kisi se tang aati hai
teri aawaz
jaise baDh rahe hon jang ke shole
teri chaal
aaj hi goya uThenge hashr ke fitne
magar nadan ye phulon ki dharti ghair-fani hai
kai jangen huin lekin zamin ab tak suhani hai
Nazm
Dharti amar hai
Salam Machhli shahri