اردو हिंदी
Dhalan | Shaahi Shayari
Dhalan

Nazm

Dhalan

Ahmad Nadeem Qasmi

;

ret par sabt hain ye kis ke qadam
husn ko narm-KHirami ki qasam

sar-e-sahil meri taKHil-e-jawan guzri hai
ya koi anjuman-e-gul-badanan guzri hai

mauj ne naqsh-e-qadam chaT liye
meri taKHil ke par kaT liye

log dariyaon ke anjam se Dar jate hain
ab to raste bhi samundar mein utar jate hain