bezar faza darpa-e-azar saba hai
yun hai ki har ek hamdam-e-derina KHafa hai
han baada-kasho aaya hai ab rang pe mausam
ab sair ke qabil rawish-e-ab-o-hawa hai
umDi hai har ek samt se ilzam ki barsat
chhai hui har dang malamat ki ghaTa hai
wo chiz bhari hai ki sulagti hai surahi
har kasa-e-mai zahr-e-halahal se siwa hai
han jam uThao ki ba-yaad-e-lab-e-shirin
ye zahr to yaron ne kai bar piya hai
is jazba-e-dil ki na saza hai na jaza hai
maqsud-e-rah-e-shauq wafa hai na jafa hai
ehsas-e-gham-e-dil jo gham-e-dil ka sila hai
us husn ka ehsas hai jo teri ata hai
har subh-e-gulistan hai tera ru-e-bahaarin
har phul teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har bhigi hui raat teri zulf ki shabnam
Dhalta hua suraj tere honTon ki faza hai
har rah pahunchti hai teri chah ke dar tak
har harf-e-tamanna tere qadmon ki sada hai
tazir-e-siyasat hai na ghairon ki KHata hai
wo zulm jo hum ne dil-e-wahshi pe kiya hai
zindan-e-rah-e-yar mein paband hue hum
zanjir-ba-kaf hai na koi band-bapa hai
majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat
dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-wafa hai
Nazm
Dast-e-tah-e-sang-amada
Faiz Ahmad Faiz