gaDi hain kitni saliben mere dariche mein
har ek apne masiha ke KHun ka rang liye
har ek wasl-e-KHuda-wand ki umang liye
kisi pe karte hain abr-e-bahaar ko qurban
kisi pe qatl mah-e-tabnak karte hain
kisi pe hoti hai sarmast shaKH-sar-e-do-nim
kisi pe baad-e-saba ko halak karte hain
har aae din ye KHudawandagan-e-mehr-o-jamal
lahu mein gharq mere gham-kade mein aate hain
aur aae din meri nazron ke samne un ke
shahid jism salamat uThae jate hain
Nazm
Daricha
Faiz Ahmad Faiz