اردو हिंदी
Dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya | Shaahi Shayari
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya

Nazm

Dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya

Adil Mansuri

;

dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
raat ka hath laga aur hawa TuT gai

suraji aag mein jhulsa gaya saya saya
ruh ki aankh khuli chand shikasta paya

nile aakash ke nezon pe siyahi chamki
waqt ke jism mein lamhon ki kamanen TuTin

panw mein phans chubhi aankh mein rasta nikla
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya