اردو हिंदी
Dar-e-umid ke daryuza-gar | Shaahi Shayari
dar-e-umid ke daryuza-gar

Nazm

Dar-e-umid ke daryuza-gar

Faiz Ahmad Faiz

;

phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan
shahr ke diwar-o-dar ko rang pahnane lagin

phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan
mere zehn o gosh ke zaKHmon pe barsane lagin

phir nikal aae hawasnakon ke raqsan taife
dardmand-e-ishq par ThaTThe lagane ke liye

phir duhal karne lage tashhir-e-iKHlas-o-wafa
kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye

hum ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar
ye ghaDi guzri to phir dast-e-talab phailaenge

kucha o bazar se phir chun ke reza reza KHwab
hum yunhi pahle ki surat joDne lag jaenge