اردو हिंदी
Chakle | Shaahi Shayari
chakle

Nazm

Chakle

Qateel Shifai

;

raat gae tak ghael naghme karte hain elan yahan
ye duniya hai sang-dilon ki koi nahin insan yahan

izzat walon ki zillat ka sab se baDa bazar hai ye
chukte hain ghairat ke saude bikte hain iman yahan

bhik mein bhi mango to koi pyar na Dale jholi mein
bin mange mil jate hain ruswai ke saman yahan

zar-daron ko naghmon mein jab jism dikhai deta hai
ek mahakti sej pe akasr TuTti hai har tan yahan

mamta ke honTon par jab chandi ki mohren lagti hain
man KHud apni beTi ko kar deti hai qurban yahan

apna KHun hi baDh kar apne KHun ki boli deta hai
kis ne kis par hath baDhaya koi nahin pahchan yahan

pap ke is mandir mein kya kya bhaw batae ram-jani
sham Dhale jab aan birajen sone ke bhagwan yahan

raat gae tak jage sanwli kale choron ki KHatir
aur agar inkar kare kahlae na-farman yahan

jhilmil karti poshakon se chahe badbu aati ho
KHud jal kar mahfil ko KHushbu deta hai loban yahan