mere KHudaya main zindagi ke azab likkhun ki KHwab likkhun
ye mera chehra ye meri aankhen
bujhe hue se charagh jaise
jo phir se chalne ke muntazir hon
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
jinhon ne paiman kiye the mujh se
rafaqaton ke mohabbaton ke
kaha tha mujh se ki ai musafir rah-e-wafa ke
jahan bhi jaega hum bhi aaenge sath tere
banenge raaton mein chandni hum to din mein sae bikher denge
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
wo apne paiman rafaqaton ke mohabbaton ke
shikast kar ke
na jaane ab kis ki rahguzar ka manara-e-raushni hue hain
magar musafir ko kya KHabar hai
wo chand-chehra to bujh gaya hai
sitara-ankhen to so gai hain
wo zulfen be-saya ho gai hain
wo raushni aur wo sae meri ata the
so meri rahon mein aaj bhi hain
ki main musafir rah-e-wafa ka
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
hazaron chehron hazaron aankhon
hazaron zulfon ka ek sailab-e-tund le kar
mere taaqub mein aa rahe hain
har ek chehra hai chand-chehra
hain sari aankhen sitara-ankhen
tamam hain
mehrban saya-dar zulfen
main kis ko chahun main kis ko chumun
main kis ke sae mein baiTh jaun
bachun ki tufan mein Dub jaun
na mera chehra na meri aankhen
mere KHudaya main zindagi ke azab likkhun ki KHwab likkhun
Nazm
Chand-chehra sitara-ankhen
Obaidullah Aleem