اردو हिंदी
Bulawa | Shaahi Shayari
bulawa

Nazm

Bulawa

Parveen Shakir

;

main ne sari umr
kisi mandir mein qadam nahin rakkha

lekin jab se
teri dua mein

mera nam sharik hua hai
tere honTon ki jumbish par

mere andar ki dasi ke ujle tan mein
ghanTiyan bajti rahti hain!