ab kahin koi nahin
jal gae sare farishton ke badan
bujh gae nil-gagan
TuTta chand bikharta suraj
koi neki na badi
ab kahin koi nahin
aag ke shoale baDhe
aasmanon ka KHuda
Dar ke zamin par utra
chaar chhe gam chala TuT gaya
aadmi apni hi diwaron se patthar le kar
phir guphaon ki taraf lauT gaya
ab kahin koi nahin
Nazm
Bujh gae nil-gagan
Nida Fazli