hazar bar hua yun ki jab umid gai
gulon se rabta TuTa na KHar apne rahe
guman guzarne laga hum khaDe hain sahra mein
fareb khane ki ja rah gai, na sapne rahe
nazar uTha ke kabhi dekh lete the upar
na jaane kaun se aamal ki saza hai ki aaj
ye wahima bhi gaya sar pe aasman hai koi
Nazm
Be-chaargi
Akhtar-ul-Iman