اردو हिंदी
Badan se puri aankh hai meri | Shaahi Shayari
badan se puri aankh hai meri

Nazm

Badan se puri aankh hai meri

Sara Shagufta

;

jao ja-namaz se apni pasand ki dua uTha lo
har rang ki dua main mang chuki

baghban dil ka bij tere pas bhi na hoga
dekh dhuen mein aag kaise lagti hai

mere pairahan ki tapish miTTi kaise jalati hai
badan se puri aankh hai meri

nigah jotne ki zarurat hi kya paDi hai
meri barishon ke tin rang hain

TuTi kaman pe ek nishan KHata ka paDa hai
hum chahen to suraj hamari roTi pakae

aur hum suraj ko tandur karen
faisla chuka diya KHata apni bhul gae

nazr karne aae the chuTki bhar aankh
aankh teri galiyon mein to bazar hain

zamin aankh chhoD kar samundar mein so rahi
jangal to sirf talash hai

ghar to kaenat ke pichhwaDe hi rah gaya
shikar kaman mein phans phans kar mara

tum kaise shikari
aankhen tewaron se jal rahi hain

jism zindagi ki mulazmat mein hai
tanhai kashkol hai

hum ne aankhon se shamshir khinchi
aur ruKHsat ki taswir banai

raat god mein sulai
aur chand ka juta banwaya

hum ne rah mein apne pairon ko jana