اردو हिंदी
Baba gandhi | Shaahi Shayari
baba gandhi

Nazm

Baba gandhi

Aaftab Rais Panipati

;

swaraj ka jhanDa bhaarat mein gaDwa diya gandhi baba ne
dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gandhi baba ne

ulfat ki rah mein mar jaana par nam jahan mein kar jaana
ye paTh watan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baba ne

ek dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chhakke chhoDwa kar
bhaarat ka loha duniya se manwa diya gandhi baba ne

ai qaum watan ke parwano lo apne farz ko pahchano
ab jail se ye paigham hamein bhijwa diya gandhi baba ne

charKHe ki top chala do tum ghairon ke chhakke chhuDa do tum
ye hind ka chakr-sudarshan hai samjha diya gandhi baba ne

nafrat thi gharibon se jin ko hain shad achhuton se mil kar
ek prem-pyala duniya ko pilwa diya gandhi baba ne

girdab mein qaum ki kashti thi tufan bapa the aafat ke
nation ka beDa sahil par lagwa diya gandhi baba ne

bhagwan bhagat ne himmat ki ek prem-jwala jag uThi
karwa kar shir-o-shakar sab ko dikhla diya gandhi baba ne

hans hans kar qaum ke bachchon ne sinon par goliyan khai hain
bhaarat ki rah mein mar miTna sikhla diya gandhi baba ne

ghairon ke jhanson mein aana dushwar hai hind ke lalon ko
aankhon se ghaflat ka parda uThwa diya gandhi baba ne