اردو हिंदी
August1955 | Shaahi Shayari
august1955

Nazm

August1955

Faiz Ahmad Faiz

;

shahr mein chaak-gareban hue napaid ab ke
koi karta hi nahin zabt ki takid ab ke

lutf kar ai nigah-e-yar ki gham walon ne
hasrat-e-dil ki uThai nahin tamhid ab ke

chand dekha teri aankhon mein na honTon pe shafaq
milti-julti hai shab-e-gham se teri did ab ke

dil dukha hai na wo pahla sa na jaan taDpi hai
hum hi ghafil the ki aai hi nahin id ab ke

phir se bujh jaengi shamen jo hawa tez chali
la ke rakkho sar-e-mahfil koi KHurshid ab ke