اردو हिंदी
Ashgabad ki sham | Shaahi Shayari
ashgabad ki sham

Nazm

Ashgabad ki sham

Faiz Ahmad Faiz

;

jab suraj ne jate jate
ashghabad ke nile ufuq se

apne sunahri jam
mein Dhaali

surKHi-e-awwal-e-sham
aur ye jam

tumhaare samne rakh kar
tum se kya kalam

kaha parnam
uTTho

aur apne tan ki sej se uTh kar
ek shirin paigham

sabt karo is sham
kisi ke nam

kanar-e-jam
shayad tum ye man gain aur tum ne

apne lab-e-gulfam
kiye inam

kisi ke nam
kanar-e-jam

ya shayad
tum apne tan ki sej pe saj kar

thin yun mahw-e-aram
ki raste takte takte

bujh gai sham-e-jam
ashghabad ke nile ufuq par

ghaarat ho gai sham