اردو हिंदी
Ahd-e-hazir ki dil-ruba maKHluq | Shaahi Shayari
ahd-e-hazir ki dil-ruba maKHluq

Nazm

Ahd-e-hazir ki dil-ruba maKHluq

Shahryar

;

zard balbon ke bazuon mein asir
saKHt be-jaan lambi kali saDak

apni be-nur dhundli aankhon se
paDh rahi hai nawishta-e-taqdir

band kamron ke ghup andheron mein
billiyan pi rahi hain dudh ke jam

hoTalon cinema-gharon ke qarib
chamchamati hui nai karen

aur panwaDiyon ki dokanen
aur kuchh Toliyan faqiron ki

pars walon ke intizar mein hain
adh-phaTe posTaron ke pairahan

aahani bilDigon ke jismon par
kitne dilkash dikhai dete hain

bas ki behis nashiston par baiThi
din ke bazar se KHaridi hui

aarzu gham umid mahrumi
nind ki goliyan gulab ke phul

kele amrud santare chawal
painT guDiya shamiz chuhe-dan

ek ek shai ka kar rahi hai hisab
ahd-e-hazir ki dil-ruba maKHluq!