agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
jahan se phul TuTa tha wahin se
kali si ek numayan ho rahi hai
jahan bijli giri thi ab wahi shaKH
nae patte pahan kar tan gai hai
KHizan se ruk saka kab mausam-e-gul
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
khanDar se kal jahan bikhre paDe the
wahin se aaj aiwan uTh rahe hain
jahan kal zindagi mabhut si thi
wahin par aaj naghme gunjte hain
ye sannaTe se li hai samt-e-hijrat
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
rahe yaKH-bastagi ka KHauf jab tak
shuaen barf par larzan rahengi
na dhire jam nahin paenge jab tak
charaghon ki lawen raqsan rahengi
bashar ki apni hi taqdir se jang
yahi asl-e-usul-e-zindagi hai
agar hai jazba-e-tamir zinda
to phir kis chiz ki hum mein kami hai
Nazm
Agar hai jazba-e-tamir zinda
Ahmad Nadeem Qasmi