اردو हिंदी
Ab main use yaad bana dena chahta hun | Shaahi Shayari
ab main use yaad bana dena chahta hun

Nazm

Ab main use yaad bana dena chahta hun

Muneer Niyazi

;

main us ki aankhon ko dekhta rahta hun
magar meri samajh mein kuchh nahin aata

main us ki baaton ko sunta rahta hun
magar meri samajh mein kuchh nahin aata

ab agar wo kabhi mujh se mile
to main us se baat nahin karunga

us ki taraf dekhunga bhi nahin
main koshish karunga

mera dil kahin aur mubtala ho jae
ab main use yaad bana dena chahta hun