meri sada hai gul-e-sham-e-sham-e-azadi
suna raha hun dilon ko payam aazadi
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
mujhe baqa ki zarurat nahin ki fani hun
meri fana se hai paida dawam-e-azadi
jo raj karte hain jamhuriyat ke parde mein
unhen bhi hai sar-o-sauda-e-KHam-e-azadi
banaenge nai duniya kisan aur mazdur
yahi sajaenge diwan-e-am-e-azadi
faza mein jalte dilon se dhuan sa uThta hai
are ye subh-e-ghulami ye sham-e-azadi
ye mahr-o-mah ye tare ye baam haft-aflak
bahut buland hai in se maqam-e-azadi
faza-e-sham-e-sahar mein shafaq jhalakti hai
ki jam mein hai mai-e-lala-fam-e-azadi
syah-KHana-e-duniya ki zulmaten hain do-rang
nihan hai subh-e-asiri mein sham-e-azadi
sukun ka nam na le hai wo qaid-e-be-miad
hai pai-ba-pai harakat mein qayam-e-azadi
ye karwan hain pasmandgan-e-manzil ke
ki rahrawon mein yahi hain imam-e-azadi
dilon mein ahl-e-zamin ke hai niw us ki magar
qusur-e-KHuld se uncha hai baam-e-azadi
wahan bhi KHak-nashinon ne jhanDe gaD diye
mila na ahl-e-duwal ko maqam-e-azadi
hamare zor se zanjir-e-tirgi TuTi
hamara soz hai mah-e-tamam-e-azadi
tarannum-e-sahari de raha hai jo chhup kar
harif-e-subh-e-watan hai ye sham-e-azadi
hamare sine mein shoale bhaDak rahe hain 'firaq'
hamari sans se raushan hai nam-e-azadi
Nazm
Aazadi
Firaq Gorakhpuri