اردو हिंदी
Aaj ki raat | Shaahi Shayari
aaj ki raat

Nazm

Aaj ki raat

Faiz Ahmad Faiz

;

aaj ki raat saz-e-dard na chheD
dukh se bharpur din tamam hue

aur kal ki KHabar kise malum
dosh-o-farda ki miT chuki hain hudud

ho na ho ab sahar kise malum
zindagi hech! lekin aaj ki raat

ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat
aaj ki raat saz-e-dard na chheD

ab na dohra fasana-ha-e-alam
apni qismat pe sogwar na ho

fikr-e-farda utar de dil se
umr-e-rafta pe ashk-bar na ho

ahd-e-gham ki hikayaten mat puchh
ho chukin sab shikayaten mat puchh

aaj ki raat saz-e-dard na chheD