abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad
yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga
badan ki andhi gupha mein chhupa hua hoga
baDha ke hath
har ek raushni ko gul kar do
hawaen tez hain jhanDe lapeT kar rakh do
jo ho sake to un aankhon pe paTTiyan kas do
na koi panw ki aahaT
na sanson ki aawaz
Dara hua hai wo
kuchh aur bhi na Dar jae
badan ki andhi gupha se na kuch kar jae
yahin kahin use DhunDo
wo aaj sadiyon baad
udas udas hai
KHamosh hai
akela hai
na jaane kab koi pisli phaDak uThe us ki
yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga
barhana ho to use phir libas pahna do
andheri aankhon mein suraj ki aag dahka do
bahut baDi hai ye basti kahin bhi dafna do
abhi mara nahin
zinda hai aadmi shayad
Nazm
Aadmi ki talash
Nida Fazli