buland peDon ke sabz patton mein sath-e-dariya ki silwaTon par
hawa ke jhonkon se dhup ke jhilmilate tare thirak rahe hain
KHunuk hawa jaise kanch ki tez kirchen rag rag ko chirti hain
KHunuk hawa jaise talKH mai kaenat ke jism mein rawan hai
ye kashtiyan barf se Dhaki nili choTiyon par nazar jamae
hawa se Takraati sard pani ko kaTti baDhti ja rahi hain
ye qahqahe shoKH shoKH baaten ye hanste chehron ka ek jhurmuT
nazar nazar mein gudaz kirnon ki aanch mahsus ho rahi hai
kisi kinare ke tera sayon mein bhul aae hain bar-e-gham ko
wo barf ki choTiyan nigahon ke daeron mein bhar rahi hain
kahin bahut dur chhoD aae hain aaj behis imaraton ko
jo apne sine mein tirgi ka dhuan dabae sisak rahi thin
sulagti chingariyan jahan baDhti rakh mein dab ke so gai thin
jahan fasurda ghubar mein zindagi to kya maut bhi nahin thi
kahin unhi choTiyon se ab wo imaraten phir ubhar na aaen
Nazm
Buland peDon ke sabz patton mein sath-e-dariya ki silwaTon par
Zia Jalandhari