maut hayat ke shajar ka phal hai
use bhi chakh kar dekho
bahut kinare dekh chuke
ab nadi se mil kar dekho
KHak pe apni tadbiron se
naqsh banae kya kya
bahut chale un raston par
ab hawa mein chal kar dekho
aur bhi dasht hain aur bhi dar hain
is basti se milon bahar
in jaise hi aur bhi ghar hain jin ke aangan jalte bujhte
aise hi kuchh sham-o-sahar hain
jin ki talash mein
sab dar jhanke
qarya qarya chaDhte chand aur Dubte suraj
koh-o-daman sab khole
shayad wo bhi wahin mile ab
us ghar chal kar dekho
maut hayat ke shajar ka phal hai
use bhi kuchh kar dekho
Nazm
Maut hayat ke shajar ka phal hai
Zulfeqar Ahmad