zulmat-e-shab-e-hijr ki aafat hai aur tu
jo dam hai ghanimat hai ki phir raat hai aur to
ek hum se hi milne mein tammul hai wagarna
ghairon se wahi teri mulaqat hai aur tu
yan roz-e-siyah o shab-e-tarik hai aur hum
wan aaina-e-bagh-e-tilismat hai aur tu
mar jaane ki ja hai ki sanam do do pahar tak
har ek se sar-e-baam ishaaraat hai aur tu
sau baaten huin to na mila apne se ai dil
kya baat hai teri ki wahi baat hai aur tu
ne hur na insan na pari aur na farishta
jis husn o sabahat mein teri gat hai aur tu
zindan-e-firaq o lab-e-KHamosh hai aur hum
sair-e-chaman o harf-o-hikayat hai aur tu
howega na ye hasti-e-fani ka bakheDa
ek roz ye hoga ki teri zat hai aur tu
naumid na ho hijr mein ai 'mushafi' us se
do din ko wahi lutf-o-inayat hai aur tu
kuDh mat ki faraghat ki bhi aa jae hai saat
phir man diwane wahi auqat hai aur tu
Ghazal
Zulmat-e-shab-e-hijr ki aafat hai aur tu
Mushafi Ghulam Hamdani