zulf-e-barham sambhaal kar chaliye
rasta dekh-bhaal kar chaliye
mausam-e-gul hai apni banhon ko
meri banhon mein Dal kar chaliye
mai-kade mein na baiThiye taham
kuchh tabiat bahaal kar chaliye
kuchh na denge to kya ziyan hoga
harj kya hai sawal kar chaliye
hai agar qatl-e-am ki niyyat
jism ki chhab nikal kar chaliye
kisi nazuk-badan se Takra kar
koi kasb-e-kamal kar chaliye
ya dupaTTa na lijiye sar par
ya dupaTTa sambhaal kar chaliye
yar dozaKH mein hain muqim 'adam'
KHuld se intiqal kar chaliye
Ghazal
Zulf-e-barham sambhaal kar chaliye
Abdul Hamid Adam