اردو हिंदी
Zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha | Shaahi Shayari
zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha

Ghazal

Zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha

Ahmad Mushtaq

;

zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha
sach bata dekhne wale use kaisa dekha

raat sari kisi TuTi hui kashti mein kaTi
aankh bistar pe khuli KHwab mein dariya dekha

zard galiyon mein khule sabz dariche jin mein
dhup lipTi rahi aur sae ko jalta dekha

kale kamron mein kaTi sari jawani us ki
jis ne ai subh-e-mohabbat tera rasta dekha

sunte rahte the ki yun hoga wo aisa hoga
lekin us ko to kisi aur tarah ka dekha