اردو हिंदी
Zindagi ko shoabada samjha tha main | Shaahi Shayari
zindagi ko shoabada samjha tha main

Ghazal

Zindagi ko shoabada samjha tha main

zafar iqbal zafar

;

zindagi ko shoabada samjha tha main
pattharon ko aaina samjha tha main

dhup ki yurish thi har ek samt se
saya-e-diwar se lipTa tha main

aaine hi aaine the har taraf
phir bhi apne aap mein tanha tha main

hadson se khelne ke bawajud
aaj bhi waisa hun kal jaisa tha main

rose zaKHmi hota tha mera badan
pattharon ke shahr mein rahta tha main

umr-bhar apne taaqub mein 'zafar'
apne hi sae se bas uljha tha main