اردو हिंदी
Zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan | Shaahi Shayari
zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan

Ghazal

Zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan

Zulfiqar Naqvi

;

zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan
wo bilali saut wo samea kahan

khojta hai an-ginat masjud mein
qul-ho-allaho-ahad ka saeban

but-tarashi chaar-su hai jalwa-gar
de gai sab ki jabinon ko nishan

yasiyat ne karb ke dar wa kiye
KHushk ummidon ka gulshan hai yahan

to rahin-e-KHana-ha-e-iztirab
uTh raha hai tere chilman se dhuan

zulmaten saya-fagan hain har taraf
baam-o-dar par raqs mein nau-midiyan

ruk zara paDh kalma-e-la-taqnatu
KHud-baKHud rauzan khulenge darmiyan

hauslon ke phir se ug aaenge par
azm-e-mohkam ko bana le saeban