zaKHm dabe to phir naya tir chala diya karo
dosto apna lutf-e-KHas yaad dila diya karo
ek ilaj-e-daimi hai to bara-e-tishnagi
pahle hi ghunT mein agar zahr mila diya karo
shahr talab kare agar tum se ilaj-e-tiragi
sahab-e-iKHtiyar ho aag laga diya karo
maqtal-e-gham ki raunaqen KHatm na hone paengi
koi to aa hi jaega roz sada diya karo
jazba-e-KHak-parwari aur sukun paega
KHak karo hamein to phir KHak uDa diya karo
Ghazal
ZaKHm dabe to phir naya tir chala diya karo
Pirzada Qasim