اردو हिंदी
Yun jo palkon ko mila kar nahin dekha jata | Shaahi Shayari
yun jo palkon ko mila kar nahin dekha jata

Ghazal

Yun jo palkon ko mila kar nahin dekha jata

Zulfiqar Aadil

;

yun jo palkon ko mila kar nahin dekha jata
har taraf ek hi manzar nahin dekha jata

kaam itne hain bayabanon ke viranon ke
sham ho jati hai aur ghar nahin dekha jata

jhank lete hain gareban mein yahi mumkin hai
aisi pasti hai ki upar nahin dekha jata

jis ko KHwabon ko zarurat ho uTha kar le jae
hum se ab aur ye daftar nahin dekha jata