اردو हिंदी
Ye waiz kaisi bahki bahki baaten humse karte hain | Shaahi Shayari
ye waiz kaisi bahki bahki baaten humse karte hain

Ghazal

Ye waiz kaisi bahki bahki baaten humse karte hain

Lala Madhav Ram Jauhar

;

ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain
kahin chaDh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain

KHuda samjhe ye kya sayyaad o gulchin zulm karte hain
gulon ko toDte hain bulbulon ke par katarte hain

daya dam naza mein go aap ne par ruh chal nikli
kisi ke rokne se jaane wale kab Thaharte hain

zara rahne do apne dar pe hum KHana-ba-doshon ko
musafir jis jagah aaram pate hain Thaharte hain

na aa jaya karo aghyar ki ulfat jatane mein
wo tum par kyun bhala marne lage faqon se marte hain

har ek mausam mein kisht-e-arzu sarsabz rahti hai
taraddud ghair ko hoga yahan to chain karte hain

ye joDa kholna bhi hech se KHali nahin un ka
ulajh jata hai dil jab baal shanon par bikharte hain

samajh lena tumhaara ai raqibo kuchh nahin mushkil
KHuda jaane ye kis ka KHauf hai hum kis se Darte hain

takalluf ke ye mani hain samajh lo be-kahe dil ki
maza kya jab hamin ne ye kaha tum se ki marte hain