ye tum se kis ne kaha hai ki dastan na kaho
magar KHuda ke liye itna sach yahan na kaho
ye kaisi chhat hai ki shabnam Tapak rahi hai yahan
ye aasman hai tum us ko saeban na kaho
rah-e-hayat mein nakaamiyan zaruri hain
ye tajraba hai ise sai-e-raegan na kaho
meri jabin bataegi azmaten us ki
use KHuda ke liye sang-e-astan na kaho
yahan muqim hain viraniyan rag-o-pai mein
tum aur kuchh bhi kaho us ko shahr-e-jaan na kaho
jahan jahan bhi sitam-gar milen zarurat hai
ki us maqam ko tum jada-e-aman na kaho
muashare ka asar to zarur hai 'alwi'
meri ghazal ko zamane ki dastan na kaho
Ghazal
Ye tum se kis ne kaha hai ki dastan na kaho
Abbas Alvi