اردو हिंदी
Ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya | Shaahi Shayari
ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya

Ghazal

Ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya

Munawwar Rana

;

ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya
main mohtaram hua to zamane se kaT gaya

man aaj mujh ko chhoD ke ganw chali gai
main aaj apne aaina-KHane se kaT gaya

joDe ki shan baDh gai mahfil mahak uThi
lekin ye phul apne gharane se kaT gaya

ai aansuo tumhaari zarurat hai ab mujhe
kuchh mail to badan ka nahane se kaT gaya

us peD se kisi ko shikayat na thi magar
ye peD sirf bich mein aane se kaT gaya

warna wahi ujaD haweli si zindagi
tum aa gae to waqt Thikane se kaT gaya