ye jo chehron pe liye gard-e-alam aate hain
ye tumhaare hi pasheman-e-karam aate hain
itna khul kar bhi na ro jism ki basti ko bacha
barishen kam hun to sailab bhi kam aate hain
tu suna teri masafat ki kahani kya hai
mere raste mein to har gam pe KHam aate hain
KHol chehron pe chaDhane nahin aate hum ko
ganw ke log hain hum shahr mein kam aate hain
wo to 'bedil' koi sukha hua patta hoga
tere aangan mein kahan un ke qadam aate hain
Ghazal
Ye jo chehron pe liye gard-e-alam aate hain
Bedil Haidri